guljaar karo kaise gulshan ko aur kaise mai barbaad karu
mai thak kar raah me khadi rahi aur tu yun hi aagey badta raha
pal pal kark tera kaarwa mujhse yun hi bichadta raha
kaise asuwan ko kaid karu aur kaise inhe azaad karu
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu...........
mai chal padti to acha tha,gar tu ruk jaata to saccha tha
mai tere laut aane ko khadi rahi, ye dil hi shayad baccha tha
jaana tha tujhko tu chala gaya ab kis kis se fariyaad karu
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu.................
aasiyana apna jala k yun koi kahi nahi jaata hai
apne to hamesha laut aate hai, begaana kabhi nahi aata hai
apne hue to laut aaoge, is khayaal k sath tujhe azaad karu
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu...........
1 टिप्पणी:
अच्छी रचना...अंतिम पंक्तियाँ तो बहुत ही अच्छी लगीं.
एक टिप्पणी भेजें