मंगलवार, 22 नवंबर 2011

paati pati k naam



Priytam tumhe pranaam likhu,is ghar k haal tamam likhu...
Amma Babu jee kaise hai? kya vitto aur devar  ji k pas paise hai?
Apni chutki kaisi hai? kya wo bhi mere jaisee hai?
in prasno k uttar mai kalam ka haath thaam likhu
priytam tumhe...........................

gussaati hai amma ab bhi, dava bhulte hai baba jab bhi
baat na puchho devar je ki, pareeksha top kari hai abki
vitto apni hui paraayi , Sarkari babu sang hui sagaayi
chutki mere paas me soyi, bachpan k sapno me khoyi
khusiyan jinki tumse hai, in chehro ki mai muskaan likhu, 
Priytam tumhe................

Apni batao kaise ho?badle ho ya waise ho?
din bhar jab majduri kark, der raat ko aate ho
kuch pakakar khate ho ya bhukhe he so jaate ho?
thand hai padne lagi waha pe, Devar je se suna yaha pe
garam sweatar khareed liya  yaa aag se kaam chalate ho?
humko khusiyan dene ko,dete ho jo imtehaan likhu
Priytam tumhe.......................

Mai ghani thand ki sirhan se,priytam se bichdi birhan se
aankho me tum baste aise , patti pe oos k moti jaise
takti hu tumahari raah is kadar,k har aahat pe chaukti hai nazar
tumhari prateeksha karte hai sab, aa jao ghar jaldi se aab
ant me is paati k ab sang tumhare apna naam likhu
Priytam tumhe pranam likhu..is ghar k haal tamam likhu.....................preeti















MADHUSHAALA AUR MADHUBAALA

Bandhi hai bediyaa jamaane ki, mai kaise maykhaane me jaau
koi to jariyaan mile mujhe bhi, itna dard kaha chhippaau

jaane do mujhko bhi madhushaala,peeno do mujhjo bhi pyaala

ho jaatein hai behosh deewane, jab aate hai wo maykhaane

panaah mile gar mujhko bhi to, to mai bhi apne hossh gawauu

Bandhi hai bediyaa jamaane ki..mai.......................................

Aankho se chhalakte  jaam mere,dil se bikharte armaan mere

zindagi jeete hai roj marne wale,jab haatho me  milte  hai haale

gar mil jata mujhko bhi  ek haala , mai bhi roj naa maari jauu

Bandhi hai bediyaa jamaane ki...mai..................................

aaj nashe me saaki hai,  dekh teri yeh madhubaala

tera dard bhulaane ko pahuch gayi hai madhushaala

gam me bhi aanand mile, jab madira se do adhar mile

aaj mujhe bhi peene do, k mai bhi thoda muskauu.......
.Preeti

बुधवार, 5 अक्टूबर 2011

yeh zindagi............


Badi berang si ab mujhe laagey hai zindagi

mai pakad na pau badi jor se jor se bhaagey hai zindagi

Lo sab ko hara k mai jeet gayi hui
Par jeet k bhi haar si laagey hai zindagi.................

Sab chod denge saath par fir bhi kahenge 
k tum chalti raho akele k abhi aagey hai zindagi..........

Mai let jaati hu par aankho ko chain hai kahan
k aab neend me bhi kahi bhaagey hai zindagi.............

Gar dor khichoge to toot jayegi k 
bade kamjor se reshmi dhaagey hai zindagi................

wo daatt bhi aise ki jaise phool ho jhare
mai bol bhi du laagey kaaten hai zindagi....................

kab kahan aurkaise kharach ki main ek
 zindagi ka mujhse hisaab maange hai zindagi............

yeh dar hai mujhko k kahi fir na bah jaaye
ki aansu nahi hai, yeh bhari aankhein hai zindagi........

hai dhoop me khadi, par ek khwab dekha hai k
shayad kabhi chaandni raatein ho yeh zindagi............


मंगलवार, 4 अक्टूबर 2011

safar......


Kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu
guljaar karo kaise gulshan ko aur kaise mai barbaad karu
mai thak  kar raah me khadi rahi aur tu yun hi aagey badta raha
pal pal kark tera kaarwa mujhse yun hi bichadta raha
kaise asuwan ko kaid karu aur kaise inhe azaad karu
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu...........


mai chal padti to acha tha,gar tu ruk jaata to saccha tha
mai tere laut aane ko khadi rahi, ye dil hi shayad baccha tha
jaana tha tujhko tu chala  gaya ab kis kis se fariyaad karu
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu.................


aasiyana apna jala k yun koi  kahi nahi jaata hai 
apne to hamesha laut aate hai, begaana kabhi nahi aata hai
apne hue to laut aaoge, is khayaal k sath tujhe azaad karu 
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu...........

safar......


Kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu
guljaar karo kaise gulshan ko aur kaise mai barbaad karu
mai thak  kar raah me khadi rahi aur tu yun hi aagey badta raha
pal pal kark tera kaarwa mujhse yun hi bichadta raha
kaise asuwan ko kaid karu aur kaise inhe azaad karu
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu...........


mai chal padti to acha tha,gar tu ruk jaata to saccha tha
mai tere laut aane ko khadi rahi, ye dil hi shayad baccha tha
jaana tha tujhko tu chala  gaya ab kis kis se fariyaad karu
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu.................


aasiyana apna jala k yun koi  kahi nahi jaata hai 
apne to hamesha laut aate hai, begaana kabhi nahi aata hai
apne hue to laut aaoge, is khayaal k sath tujhe azaad karu 
mai kaise tujhko bhulu aur kaise tujhko yad karu...........

Asmanjas

ye raat kaise aayi hai 
jo tere saath hai aur 
fir bhi tere bina hi aayi hai
ye fir kasi tanhai hai
tu hai bhi nahi aur fir
 bhi tere hee  parchaai hai


ye kaisi sada si aayi  hai
teri hi  aawaje hai aur fir
 bhi teri hi khamoshi chaayi hai


ye kasi ghadiyaa aayi hai
milaa bhi hai mujhe aur
fir bhi tujhse lage judaai hai..............

शनिवार, 1 अक्टूबर 2011

thoda sa ro leti hu

Jab tanhai me hoti hu , to thoda sa ro leti hu...............
kuch yaad mujhe aa jaata hai
ek chehra sa dhundhlaata hai
Jab khuli aankho se so leti hu, to thoda sa ro leti hu.......


Kyo itna mujhko satata hai 
kyo itna mujhko rulata hai
mai teri nahi ,tu mera nahi
fir kyo aankho me bah aata hai
Jab khwab koi piro mai leti hu, to thoda sa ro leti hu........


Kya tera mujhse rista hai 
kya mera tujhse naata hai
ye kaisa tufan aata hai jo
sab kuch baha le jata hai
Jab kasti khud hi duboti hu, to thoda sa ro leti hu...........
to thoda sa ro leti hu...............................

jawab khuda ko

Jamane se bagawat tu kya karoge
waqt se shikayat tum kya karoge,
Har jajbaat ko tumne mitaya hai
har khwaab ko khaak me milaya hai,
Jab puchenge khuda khata tumhari 
socha hai jawab me kya kahoge,
Iltiza kaise karoge mohabbat ki
tumne to har lamhe ko fursat se bhulaya hai............

Ek sawal...................

Ek sawal sanjida si sadi se puchenge 
Itni bebasi kyo hai jindagi se puchenge........


Chahchaana bhhule ho esi kya hai mahrumi
bejubaan parindo ki khamoshi se puchenge....


khoyi khoyi si kyo ho kya hai raaz-e- khamoshi
ye sawal aaj khud apni shayari se puchenge.......


khushgavar hai mausam fir bhi wo pareeshaa hai
aankho me hai kyo nami ye usi se puchenge.......


jab sab me jaakar tumko bahna padta hai
tum pe kya gyjarti hai ye nadi se puchenge..........


mere haalat k baare me maalum hai sabko
meri khariyat fir bhi sab mujhi se puchenge...............

Jeet Zamane ki..........

Ab yaad dilaye kya tumko, ye saal bhi aadha beet gaya


ab apna to koi dosh nahi ,ye aazi bhi jag jeet gaya


Wo sard hawaye ab bhi hai, rangeen fazaye ab bhi hai


Wo bheege bheege paani ki ,purshor sadaye ab bhi hai


Mai ab bhi waha par jaati hu,aur apna dil sulgaati hu


Ab tum jo nahi ho saath mere, hote hai khaali haath mere


Purshor sadaye puchti hi, wo sard hawaye puchti hai


Kaha wo tera meet gaya, kya fir se zamana jeet gaya......................................

shayad kuch rah jaye

Hothon ki muskaan kahi aankho se na bah  jaaye....................
jhuki hui palko se ye koi raaz na kaj jaaye.................


jahan ho tanhai usko bhej do mere paas.................
ki dar hai mujhe ki  koi aur saath na mere rah jaaye.................


Tum aayi ho aacchha hai par na apne hoth hilanaki..........
ki kahi tere jaane baad kaano me koi awaj na rah jaaye..........


Kagaj, kalam , davaat sab le baitha hu.............
gar haath chal gye to kahi tera naam na likh jaaye.....................


Kyo chup chup si rahti ho , kya hai raaze khamoshi...................
kuch u roo do tum bhi k dil me koi baat na rah jaaye.................

jaane kaise

Jaane main kis dhyan mein thi....k maine din ko shab likha....
Jo na likhna chahti thi.... wohi maine sab likha....

Khwaab nagar mein chal nikli jaise sab haqiqat ho....
Sapne ko bhi aakhir koi sapna maine kab likha................