Priytam tumhe pranaam likhu,is ghar k haal tamam likhu...
Amma Babu jee kaise hai? kya vitto aur devar ji k pas paise hai?
Apni chutki kaisi hai? kya wo bhi mere jaisee hai?
priytam tumhe...........................
gussaati hai amma ab bhi, dava bhulte hai baba jab bhi
baat na puchho devar je ki, pareeksha top kari hai abki
vitto apni hui paraayi , Sarkari babu sang hui sagaayi
chutki mere paas me soyi, bachpan k sapno me khoyi
khusiyan jinki tumse hai, in chehro ki mai muskaan likhu,
Priytam tumhe................
Apni batao kaise ho?badle ho ya waise ho?
din bhar jab majduri kark, der raat ko aate ho
kuch pakakar khate ho ya bhukhe he so jaate ho?
thand hai padne lagi waha pe, Devar je se suna yaha pe
garam sweatar khareed liya yaa aag se kaam chalate ho?
humko khusiyan dene ko,dete ho jo imtehaan likhu
Priytam tumhe.......................
Mai ghani thand ki sirhan se,priytam se bichdi birhan se
aankho me tum baste aise , patti pe oos k moti jaise
tumhari prateeksha karte hai sab, aa jao ghar jaldi se aab
ant me is paati k ab sang tumhare apna naam likhu